top 5 best lite version android mobile apps, best Lightweight Android Apps in hindi
Hello friends aajke is post me main aap logo ke sath share karunga top 5 best lite version android apps. Lite (Lightweight Android Apps) android apps aabhi dhire dhire bahut popular hone ja raha hai. asal me lite version android app ke kam hai aapke mobile internet data, battery aur mobile space ko bachana. Man lijiye aapke internet speed bahut slow hai aur aapko facebook ya dusra koi app use karna hai to normal jo aap hai wo to slow internet me bahut slow kam karega but aagar aap usi slow internet par lite version app ko istemal karte ho to wo kam lite version app me aram se ho jayega. Lite version jo app hota hai wo size me bhi bahut kam hota hai, jaise ki aapko pata hai facebook ka jo app hai uska size lagbhag 50mb se upar hota hai aur aagar aap lite version app use karte ho to uska size jada se jada 2-3mb ka hoga. to dosto chaliye dekhte hai kuch best Lightweight Android Apps jo aapke bahut kam ayega aur aapke mobile data, space aur battery ko save karne me help bhi karega.
Aaj main aap logo ke sath aisa 5 best lite version app share karunga jo bahut popular hai aur aapko ye apps bahut jarurat bhi hai. aagar aap facebook app use karte hai to aap usko remove karke lite version facebook app use kar sakte ho isi traha aur bhi hai jo niche main share kar diya hai.
1. Facebook Lite :
Facebook aabhi har koi use karta hai, mobile se facebook ko use karne ke liye jada log facebook app hi istemal karte hai. aagar aapke internet speed slow hai aur aapke mobile ram space bahut kam hai to aap facebook app ko use na karke facebook lite ko use kar sakte ho. isko use karne se aapke mobiel data, battery aur space sab kuch save rahega.
2. Messenger Lite :
Facebook use karte hai aur Messenger istemal nahi karte hai aisa user nahi milega, aagar aap mobile se facebook par chat karna pasand karte hai to jahir si bat hai ki aap mobile par Messenger bhi istemal karte hai. kya aapko pata hai Messenger aapke mobile ke kitna space le leta hai jiske wajha se aapke mobile memory lad khatam ho jata hai. aagar aapko mobile data, space aur battery save rakhna hai to aapko Messenger Lite use karna hoga kyuki ya bahut badiya kam karta hai aur bahut fast kam karta hai.
3. Camera360 Lite :
Aagar aapko photo edit ka sokh hai aur aap photo ko jada sundar karke social site par post karna pasand karte hai to aap sayed Camera360 app use karte ho, aagar aap is app ko istemal karte ho to uska normal app size bahut jada hai to aap uska normal app use na karke simple Camera360 Lite use kar sakte ho, isse app kam bhi fast karega aur aapke mobile memory bhi bach jayega.
4. 360 Security Lite:
Aise to mobile par koi antivirus ki jarurat nahi hai phir bhi google play store par 360 Security antivirus bahut popular hai. aagar aap bhi is app ko aapne android mobile par use karte ho to main bolunga isko use na kare, phir bhi aagar aapko use karna hai to aap iska lite version 360 Security Lite ko use kare, isse aapke mobile data, aur memory safe rahega aur mobile fast kam karega. 360 Security to ek antivirus hai lekin isme aur bhi bahut features hai but apko wohi same features is lite version me bhi mil jayega.
5. Parallel Space Lite :
Aagar aapko aapne android mobile par dono whatsapp, dono facebook matlab do do app use karna hai to Parallel Space aabhi best hai. aur Parallel Space aabhi bahut popular bhi hai aur kam bhi bahut badiya karte hai. lekin Parallel Space ka jo normal app hai uska size bahut jada hai aagar aap Parallel Space Lite istemal karna chahate ho to jarur kar sakte ho, isse aapke mobile memory save rahega aur battery bhi save rahega.
6. Clean Master Lite :
Google play store par kuch best popular app me se Clean Master ek hai, yebhi antivirus ki traha kam karte hai, isko use karte hai mobile ko clean karne ke liye junk file ko remove karne ke liye. aagar aap is app ko use karte hai aapne phone to main bolunga ki aap Clean Master Lite ko use kare, iska size bahut kam hai aur ye kam bhi fast karta hai.
Friends main main best top lite version yani ki Lightweight Android Apps aap logo ke sath share kar diya hai, aagar aap upar ki apps ko aapne mobile par use karte hai to usko remove karke usi apps ke lite version ko use kare. aagar aapko ye post helpful laga hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare, koi swal hai kuch bhi puch na ho to niche comment kare.
Read: Top 5 Paise Earning Karne Ka App
Top 5 Lite Version Android Apps
Aaj main aap logo ke sath aisa 5 best lite version app share karunga jo bahut popular hai aur aapko ye apps bahut jarurat bhi hai. aagar aap facebook app use karte hai to aap usko remove karke lite version facebook app use kar sakte ho isi traha aur bhi hai jo niche main share kar diya hai.
1. Facebook Lite :

2. Messenger Lite :

3. Camera360 Lite :

4. 360 Security Lite:

5. Parallel Space Lite :

6. Clean Master Lite :

Friends main main best top lite version yani ki Lightweight Android Apps aap logo ke sath share kar diya hai, aagar aap upar ki apps ko aapne mobile par use karte hai to usko remove karke usi apps ke lite version ko use kare. aagar aapko ye post helpful laga hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare, koi swal hai kuch bhi puch na ho to niche comment kare.
bhai konsa theam hai ye jo aap apne website pe lagaai hai
ReplyDeletetheam ka naam boliye or free hai kya
ye custom theme hai bro....
Delete